talluq tod kar us ki gali se kabhi main jud na paya zindagi se khuda ka aadmi ko dar kahan ab wo ghabraata hai kewal aadmi se meri ye tishnagi shayad bujhegi kisi meri hi jaisi tishnagi se bahut chubhta hai ye meri ana ko tumhaara baat karna har kisi se khasare ko khasare se bharunga nikalunga ujala tirgi se tumhein ai dosto main jaanta hun sukun milta hai meri bekali se hawaon mein kahan ye dam tha 'faisal' diya mera bujha hai buzdili se