kuchh nahin garche teri rahguzar se aage dekhna kufr nahin hadd-e-nazar se aage khud-farebi ke liye garm-e-safar hain warna kya hai manzil ke siwa gard-e-safar se aage mera aflak bhi taskin-e-nazar ho na saka the wahi shams-o-qamar shams-o-qamar se aage zindagi waqt ki diwaron mein mahbus rahi koi parda na utha sham-o-sahar se aage aaj ke daur ka dawa hai ki anqa ke siwa koi uqda nahin irfan-e-bashar se aage qatre qatre ko taraste rahe sahra 'farigh' jhum kar utthe bhi baadal to wo barse aage