kuchh roz main is KHak ke parde mein rahunga

kuchh roz main is khak ke parde mein rahunga
phir dur kisi nur ke haale mein rahunga

rakkhunga kabhi dhup ki choti pe rihaish
pani ki tarah abr ke tukde mein rahunga

ye shab bhi guzar jaegi taron se bichhad kar
ye shab bhi main kohsar ke darre mein rahunga

suraj ki tarah maut mere sar pe rahegi
main sham talak jaan ke khatre mein rahunga

ubhregi mere zehn ke khaliyon se nai shakl
kab tak main kisi barf ke malbe mein rahunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close