meri nigah mein hai KHak sim-o-zar ka fusun

meri nigah mein hai khak sim-o-zar ka fusun
subut-e-moajiza-e-raftagan-e-alam hun

diya hai mujh ko magar be-surur hangama
mila hai mujh ko magar waqf-e-iztirab-e-sukun

na chand mein hai chamak apni aur na shabnam mein
karun to kis ka zamane mein e'tibar karun

jo dil mein baat hai alfaz mein nahin aati
so ek baat hai dil ki lagi kahun na kahun

saza hai meri raho us dayar mein ki jahan
garan hai aab-e-musaffa magar hai arzan khun

sawal-e-aql wahi hai jawab-e-jehl wahi
hazar bar karun das hazar bar sunun

khafa hai rang-e-gul-o-mauja-e-saba mujh se
ki bandhta hun dil-e-be-qarar ka mazmun

mujhe to apne pe ek lamha e'tibar nahin
nigar-e-dahr tujhe garche ba-wafa samjhun

hazar raste pinhan hain reg-e-sahra mein
jo dam mein dam ho to is dasht ki hawa dekhun

khula hai aal-e-mohammad ke faiz se mujh par
ki aadmi ko bhi hai ikhtiyar-e-kun-fayakun

buland baad-e-shahadat bhi hai ye nok-e-sinan
sar-e-imam kisi haal bhi nahin hai nigun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close