kuchh roz se main bhi bahut aasudgi ke sath hun

kuchh roz se main bhi bahut aasudgi ke sath hun
ab koi mere sath hai ya main kisi ke sath hun

paiwast hai mere lahu mein zahir-o-baatin ki zau
aazurdagi ke sath hun jab se khushi ke sath hun

ek bojh hai ab mere sine par meri maujudgi
main sath hun apne magar ek be-rukhi ke sath hun

kya soch kar main ne qadam rakkha tha dasht-e-najd mein
kyun ghaib se utri hui aawargi ke sath hun

main sath hun us ke bahar-surat tulu-e-mehr tak
sanjidgi ke sath hun ya dil-lagi ke sath hun

kahta nahin sunta nahin hansta nahin rota nahin
main bhi azal se aaj tak kaise ghabi ke sath hun

ek mauj mein badhta chala jata hun manzil ki taraf
yani fana ki rah par main bhi sabhi ke sath hun

kuchh khauf khane ki zarurat hai na lazim ehtiyat
main lashkari hun aap ka aur aap hi ke sath hun

muddat hui hai khud-farebi ke zamane ko lade
ab jo mera ho kar rahega main usi ke sath hun

'sajid' abhi tak qarz hai mujh par meri pahchan ka
shamil kisi ke rang mein apni kami ke sath hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close