tumhaara dil to hamare subhaw jaisa hai

tumhaara dil to hamare subhaw jaisa hai
hata ke chehre se chehra dikhao jaisa hai

wo chukta hi nahin jis pe daw jaisa hai
hamein khabar hai wahan rakh-rakhaw jaisa hai

mujhe dhakel kar us ka zamir jag utha
ab us ka haal bhi tufan mein naw jaisa hai

to kya wo dast-e-mashiyyat ka shahkar nahin
purana yar hai yaro nibhao jaisa hai

sunahre khwab dikhae na aap hi dekhe
hamara yar hamare subhaw jaisa hai

ubhar rahi hain nae khun mein nai qadren
khulus mein bhi ghumao phiraw jaisa hai

ye aur baat ki dam de raha ho soz-e-darun
bujha hua wo ba-zahir alaw jaisa hai

khulega khud wo kisi roz misl-e-band-e-qaba
na chhup sakega lahu mein rachaw jaisa hai

wo us ka haal-e-zabun us pe khanda-e-be-bak
hasin samaj ke chehre pe ghaw jaisa hai

hai apni pith ka har zakhm aaina 'ghausi'
mere rafiqon ko mujh se lagaw jaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close