kuchh sabab hi na bane baat badha dene ka khel khela hua ye us ko bhula dene ka apne hi samne diwar bana baitha hun hai ye anjam use raste se hata dene ka yunhi chup chap guzar jaiye in galiyon se yahan kuchh aur hi matlab hai sada dene ka rasta rokna maqsad nahin kuchh aur hai ye darmiyan mein koi diwar utha dene ka aane walon ko tariqa mujhe aata hai bahut jaane walon ke taaqub mein laga dene ka ek maqsad to hua dhundna us ko har-su lutf hi aur hai pane se ganwa dene ka ek hunar pas tha apne so nahin ab wo bhi jo dikhai nahin deta hai dikha dene ka sab ko malum hai aur hausla rakhta hun abhi apne likkhe hue ko khud hi mita dene ka tut padti hai qayamat koi pahle hi 'zafar' qasd karta hun jo fitne ko jaga dene ka