yaad-e-khuda se aaya na iman kisi tarah kafir bane na hum na musalman kisi tarah karte ho wada aane ka hai aankh muntazar kab tak guzare din ye hai mehman kisi tarah aazad ishq-e-yar ne hum ko bana diya mal-o-mata' ka hun na main khwahan kisi tarah pite raho sharab jahan tak ki ho sake shaghil na chhute saqi ka daman kisi tarah aa jawen gar nasib se aalam hai naza ka nikle hamare dil ke bhi arman kisi tarah mar jaun un ke tir-e-nigah se najat ho gardan pe mere un ka ho ehsan kisi tarah zindan hain phans gaya dil-e-muztar nigah ke baithe hain pasban bane mizhgan kisi tarah baad-e-fana bhi qabr ko mismar kar diya izhaar-e-ranj ka na ho saman kisi tarah adwar mein agarche hai 'markaz' ghira hua chhode na tujh ko rahmat subhan kisi tarah