kuchh sazgar jab mere haalat bhi nahin aise mein mere sar pe tera baat bhi nahin mushtaq-e-did bhi nahin ye tarfa baat hai dil mein khayal-e-tark-e-mulaqat bhi nahin kahta nahin main aap ko begana-khu magar pahle si mujh pe lutf-o-inayat bhi nahin mujh ko banaya mumlikat-e-gham ka tajdar aur mere lab pe shukr ke kalmat bhi nahin kis se karun ummid main hajat-rawai ki juz tere koi qibla-e-hajat bhi nahin saqi ne bhi mujhe nazar-andaz kar diya mujh par nigah-e-mir-e-kharabaat bhi nahin 'ajiz' hun khat likhun to unhen kis tarah likhun kaghaz nahin qalam nahin dawat bhi nahin