manzil mile be-hausla-e-jaan nahin dekha hote hue aisa to kabhi han nahin dekha ghair aae gae phul chune bu bhi udai hum aise ki apna hi gulistan nahin dekha daman bhi salamat hai gareban bhi salamat ai josh-e-junun tujh ko numayan nahin dekha hain tere tasallut mein fazaen bhi zamin bhi tujh mein hi magar zauq-e-sulaiman nahin dekha hai chashm-e-tasawwur bhi ye darmanda-o-ajiz tujh ko kabhi ai jalwa-e-pinhan nahin dekha ehsas-e-ziyan wae ki hai ru-ba-tanazzul kal tha jo use aaj pasheman nahin dekha kitne hi sukhan-war-o-sukhan-dan 'nazar' aise jin ko kabhi mahfil mein ghazal-khwan nahin dekha