kuchh tabiat hi mili thi aisi chain se jine ki surat na hui

kuchh tabiat hi mili thi aisi chain se jine ki surat na hui
jis ko chaha use apna na sake jo mila us se mohabbat na hui

jis se jab tak mile dil hi se mile dil jo badla to fasana badla
rasm-e-duniya ko nibhane ke liye hum se rishton ki tijarat na hui

dur se tha wo kai chehron mein pas se koi bhi waisa na laga
bewafai bhi usi ka tha chalan phir kisi se ye shikayat na hui

chhod kar ghar ko kahin jaane se ghar mein rahne ki ibaadat thi badi
jhut mashhur hua raja ka sach ki sansar mein shohrat na hui

waqt rutha raha bachche ki tarah rah mein koi khilauna na mila
dosti ki to nibhai na gai dushmani mein bhi adawat na hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close