numud pate hain manzaron ki shikast se fath ke bahane charagh zinda kiya hai mera gali mein dam todti hawa ne ye jaante hain ki samne hai gurez karti hui mohabbat magar mere sath chal rahe hain wahi mazahir wahi zamane musafiron ke liye to yaksan hai dasht aur shahr se guzarna ki sham hote hi tan lete hain log khwabon ke shamiyane to kyun ye sahil ki dhup mere nidhaal qadmon se aa lagi hai mujhe kinare laga diya hai agar kisi shakhs ki dua ne kisi ko ek aatish-e-guman ne tamam-tar rakh kar diya hai kisi ko kandan bana diya hai yaqin ki khak-e-kimiya ne har aan mere wajud mein yun ana ki tamir ho rahi hai ki jaise bheja gaya hun main bhi zamin par ek makan banane mujhe yaqin hai ki mere bas mein hai manzil-e-shauq par utarna mujhe bahut hausla diya hai meri mohabbat mere khuda ne