kuchh to ai yar ilaj-e-gham-e-tanhai ho baat itni bhi na badh jae ki ruswai ho dubne wale to aankhon se bhi kab nikle hain dubne ke liye lazim nahin gahrai ho jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakkha hai ab zaruri hai wahi shakhs tamashai ho main mohabbat mein luta baitha hun dil ki duniya kaam ye aisa bhi kab hai ki pazirai ho ajnabi tum se koi baat jo kar li main ne log kahne lage harjai ho harjai ho koi anjaan na ho shahr-e-mohabbat ka makin kash har dil ki har ek dil se shanasai ho main mohabbat ko chhupata raha lekin be-sud baat chhupti hai kahan jis mein ki sachchai ho aaj to bazm mein har aankh thi pur-nam jaise dastan meri kisi ne yahan dohrai ho main tujhe jit bhi tohfe mein nahin de sakta chahta ye bhi nahin hun teri paspai ho ab ke sawan to barasta hua yun lagta hai aasman par bhi tere gham ki ghata chhai ho yun guzar jata hai 'imrran' tere kuche se tera waqif na ho jaise koi saudai ho