ai sanam tujh ko hum bhula na sake dil se dagh-e-wafa mita na sake allah allah us aastan ki kashish sar jhukaya to sar utha na sake mit gae shauq-e-did mein lekin aap jalwa hamein dikha na sake teri chahat mein dard wo paya hum zamane mein chain pa na sake de ke dil tum ko jaan bhi de di phir bhi apna tumhein bana na sake jab se nisbat hui tere dar se hum kisi dar pe sar jhuka na sake ishq mein ye ajab tamasha hai un ko paya to khud ko pa na sake aisi badli hawa zamane ki zakhm sine ke muskura na sake tum 'fana' ki lahad pe baad-e-fana aa ke do phul bhi chadha na sake