kuchh to akhlaq ki qadron ko ujale koi ek tabassum hi meri samt uchhaale koi aaj ke khar lahu pite hain insanon ka kyon liye phirta hai ab panw mein chhaale koi jaane kya baat hai mail-ba-karam hain kuchh log mujh ko is taza musibat se bacha le koi main fazaon mein bikhar jaunga khushbu ki tarah ek haqiqat hai kitabon mein saja le koi lazzat-e-gham ko taras jaoge 'nasir' tum bhi zulm karne se agar hath utha le koi