sannate ke shor se phir aawazon ka sahra chamka zer-e-falak jo ab tak khwabida tha wo fitna chamka dasht-e-hawa ke dosh pe wahshi khushbu ne par phailae rang hawa bedar angdai sanp ne li shoala chamka patthar shisha chandi sona moti hira shams qamar hairat wahshat khak samundar paikar aaina chamka shahr-e-siyah pe tuti hongi kaisi kaisi talwaren parda-e-khwab pe guzra manzar be-chamke kya kya chamka sahir lashkar sabr fasil tak aa ke rajaz-khwan hota hai tu bhi hisar-e-jaan se nikal kar khanjar-e-garm-nawa chamka raat pahad pe bijli tadpi patthar tuta aag lagi pal-bhar ko mere kamre ki khidki ka shisha chamka karobar jama hai phir se tir tabar talwaron ka muddat se jo sard pada tha aahon ka dhanda chamka