kuchh to bolo miyan hua kya hai is qadar khamushi wajh kya hai phir rahe ho gali gali dar dar yun bhatakne se faeda kya hai main jo kahta hun tum suno to sahi bahs-o-takrar mein rakha kya hai aaj dube to phir na ubhrenge mauj-e-hasti ka aasra kya hai qatra-e-be-karan hai garche sanam phir sanam-gar bata khuda kya hai dil hamare kabhi mile hi nahin hum milen bhi to faeda kya hai rafta rafta badal gaya 'abrar' tum bhi badlo miyan bura kya hai