lijiye humse ba-kamal log bhi aam ho gae

lijiye hum se ba-kamal log bhi aam ho gae
jin se gurez tha hamein hum se wo kaam ho gae

aap kei baddua-e-dil aakhir asar dikha gai
hum ko bhi ishq ho gaya hum bhi ghulam ho gae

chadar-e-ehtiyat aaj sar se hawa jo le udi
zulf ke sare pech-o-kham manzar-e-am ho gae

bagh-e-badan mein har taraf kaliyan chatak chatak gain
baad-e-saba chali to hum khushbu khiram ho gae

aap se aap chhat gae abr-e-ghaner hijr ke
hum bhi shab-e-siyah se mah-e-tamam ho gae

moajiza ye nahin to kya nazren milin na baat kei
phir bhi salam ho gae phir bhi payam ho gae

ye kar-e-ishq ka safar aise 'alina' tai hua
dil un ka hum ne rakh liya khud un ke nam ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close