kuchh to is dil ko saza di jae us ki taswir hata di jae dhundne mein bhi maza aata hai koi shai rakh ke bhula di jae nam likh likh ke tera kaghaz par raushnai bhi gira di jae naw kaghaz ki bana kar us ko bahte pani mein baha di jae raat ko chupke se ek ek ghar ki kyun na zanjir laga di jae nind mein chaunk padega koi aao us dar pe sada di jae aakhiri sans mahak jaegi us ke daman ki hawa di jae sab ke sab yaad chale aate hain aaj kis kis ko dua di jae 'alwi' hotel mein thahar sakta hai kyun use ghar mein jagah di jae