kuchh to rangini-e-afkar khule 'saif' chal matla-e-anwar khule barg-e-gul jaise hawa ke rukh par kis latafat se lab-e-yar khule tu zara band-e-qaba khol to de jauhar-e-nafa-e-tatar khule dekh ai kucha-e-jaanan ki hawa dil ke darwaze kai bar khule zakhm-e-dil hum ne chhupae warna teri aankhon ne kiye war khule wah kya dhang hain sayyaadon ke log phirte hain giraftar khule kya isi tarah guzar jaegi kuchh to un par bhi dil-e-zar khule hasrat-e-did pas-e-marg na puchh rah gae dida-e-bedar khule lab-e-khamosh ko wa kar zalim ye hai iqrar ki inkar khule saf bakhshe gae wo hashr ke din jo nazar aae gunahgar khule kabe ja kar bhi hamein kashf hua but-kade mein bhi kuchh asrar khule hum bhi qismat ka likha dekhenge 'saif' chal nama-e-dildar khule