kuchh to thahre hue dariya mein rawani karen hum aao duniya ki haqiqat ko kahani karen hum apne maujud mein milte hi nahin hain hum log jo hai madum use apni nishani karen hum pahle ek yar banaen koi us ke jaisa aur phir ijad koi dushman-e-jaani karen hum jab naya kaam hi karne ko nahin hai koi baithe baithe yun hi ek chiz purani karen hum hijr ke din to hue khatm badi dhum ke sath wasl ki raat hai kyun marsiya-khwani karen hum