mere thahrao ko kuchh aur bhi wusat di jae ab mujhe khud se nikalne ki ijazat di jae maut se mil len kisi gosha-e-tanhai mein zindagi se jo kisi din hamein fursat di jae be-khad-o-khal sa ek chehra liye phirta hun chahta hun ki mujhe shakl-o-shabahat di jae bhare bazar mein baitha hun liye jins-e-wajud shart ye hai ki meri khak ki qimat di jae bas ki duniya meri aankhon mein sama jaegi koi din aur mere khwab ko mohlat di jae