kuchh tujhse shikayat mue be-pir nahin hai

kuchh tujh se shikayat mue be-pir nahin hai
qismat ki khata hai teri taqsir nahin hai

kaghaz nahin likkha koi tahrir nahin hai
kyon niklun tere bap ki jagir nahin hai

misri yun hi bikti hai zara chakh ke to dekho
ye pich hai chawal ki aji khir nahin hai

wo chandni phir la ke hawale mere kar den
aisi to ujagar meri taqdir nahin hai

ek jaan se do jaan to honi nahin hargiz
ya main nahin ya ab teri ham-shir nahin hai

sona bhi jo chhuti hun to ho jata hai mitti
iksir bhi mere liye iksir nahin hai

ye sas mui chahe jo kuchh un se lagae
is mein to meri koi bhi taqsir nahin hai

khana koi kya hath se phir apne nikale
doi nahin chamcha nahin kaf-gir nahin hai

beti nahin deti tumhein deti hun main laundi
daulat nahin rakhti koi jagir nahin hai

wo tauq to rakh aae the pahle hi jue mein
ab dekhti hun aaj to zanjir nahin hai

'shaida' ko zaban-dani ki kuchh dad to milti
afsos ki is waqt bua 'mir' nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close