kuchh na thi begam mue insan ki buniyaad bhi

kuchh na thi begam mue insan ki buniyaad bhi
is janam mein ho rahi hai us janm ki yaad bhi

den se allah ki daulat bhi hai aulad bhi
ab unhen kya chahiye bahuwen bhi hain damad bhi

sas nandon se adawat un se ulfat hai mujhe
shad bhi sasural mein hun aur main nashad bhi

jeth ka munh dekhti hun karti hun beti ka pas
ye bhatija bhi hai mera bibiyo damad bhi

kyon na koson dur bhagun teri sohbat se mue
khaj mein bhi to lada hai ho gaya hai dad bhi

saut ke aage hai bakri aur mere haq mein sher
narm-dil bhi log kahte hain use jallad bhi

lal pile mujh pe mat ho tum batao apna khun
jonk wali bhi yahin maujud hai fassad bhi

hae kaisa ho gaya hai khun duniya ka safed
jonk wali bhi na aai mar gaya fassad bhi

aaj sabit ho gaya 'shaida' tumhaari rekhti
ek purani chiz bhi hai ek nai ijad bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close