kuchh un ki jafa un ka sitam yaad nahin hai ghamgin hun lekin koi gham yaad nahin hai dil-dada-e-asnam hai fitrat meri lekin tha sath kabhi koi sanam yaad nahin hai apnon ki inayat ka mamnun hun aisa ghairon ka mujhe koi sitam yaad nahin hai paya hai nishan jab se teri rahguzar ka kaisi hai rah-e-dair-o-haram yaad nahin hai laya hai kahan ye gham-e-ayyam 'farid' ab bakhsha tha kabhi us ne bhi gham yaad nahin hai