gardish-e-jam nahin gardish-e-ayyam to hai sai-e-nakaam sahi phir bhi koi kaam to hai dil ki betabi ka aakhir kahin anjam to hai meri qismat mein nahin dahr mein aaram to hai mail-e-lutf-o-karam husn-e-dil-aram to hai meri khatir na sahi koi sar-e-baam to hai tu nahin mera masiha mera qatil hi sahi mujh se wabasta kisi taur tera nam to hai halqa-e-mauj mein ek aur safina aaya sahil-e-bahr pe kohram ka hangam to hai tang-dasto tahi-damano karo shukr-e-khuda mai-e-gulfam nahin hai shafaq-e-sham to hai