kuchh zard zard patte nishan jo KHizan ke hain

kuchh zard zard patte nishan jo khizan ke hain
nairang-e-dil-fareb ye sab aasman ke hain

ek aag si lagi hai zamane mein har taraf
kya jaane zamzame ye kis aatish-zaban ke hain

hum dil-jalon ko huzn-o-alam se hai soz-o-saz
andaz zamzamon mein bhi aah-o-fughan ke hain

ye bhi to hain kharab usi chashm-e-mast ke
parhez-gar hazrat-e-wais kahan ke hain

uth uth ke baith jata hai bang-e-jaras pe dil
dekh ai falak ye hausle is na-tawan ke hain

guzre hue zamane ki ab yaad kya zarur
charche qafas-nasibon mein kyun aashiyan ke hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close