kunen jo pani ki bin pyas chah rakhte hain

kunen jo pani ki bin pyas chah rakhte hain
magar nahang bhi dariya ki thah rakhte hain

shahadat apni gawahi pe ab bhi hai shahid
shahid wo hain jo haq ko gawah rakhte hain

ye jaan lijiye pahchan donon ki hai yahi
jo taj raja to kashkol shah rakhte hain

wo khak dhul chataenge apne dushman ko
jo dil na qalb-e-amir-e-sipah rakhte hain

hain dang apni hi dahshat ke dar se dahshat-gard
ye kale nag hain dil bhi siyah rakhte hain

jo log achchhe hain rakhte hain thik ghar ko wahi
kharab log to ghar ko tabah rakhte hain

hamari un ki siyasat ka rang khub hai wah
ki hum imam to wo sarbarah rakhte hain

jo andhe aankhon ke hain aur nain mujh ko hai nam
wo kor-chashm bhi hum par nigah rakhte hain

bana ke qasr-e-wafa sher bola haidar ka
kata ke hath bhi hum dast-gah rakhte hain

'waqar-hilm' ali walon se khuda ki qasam
pul-siraat ke raste bhi rah rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close