kunj-e-dil mein teri chahat ke siwa kuchh bhi nahin aaina-khana mein hairat ke siwa kuchh bhi nahin har qadam par muntazir majburiyan mahrumiyan zindagi khush-nam tohmat ke siwa kuchh bhi nahin puchhte kya ho maal-e-amad-e-fasl-e-bahaar sara gulshan naqsh-e-ibrat ke siwa kuchh bhi nahin gardish-e-ayyam to nahaq pasheman ho gai muskurana meri aadat ke siwa kuchh bhi nahin ai 'qamar' ab ja raha hun pur-sukun ek ganw mein ab to mere pas fursat ke siwa kuchh bhi nahin