mere bahte ashkon mein zaiqa nahin hoga jab talak talatum mein moajiza nahin hoga sab parind shakhon se jaan bacha ke udte hain wo jo mar gaya shayad wo uda nahin hoga aasman wale khud phir tumhein gira denge gar tumhaare shanon par hausla nahin hoga bas guzarne wale ka itna dukh to hai mujh ko ab kabhi kahin us se rabta nahin hoga ab hamari ghazlon ko raushni nahin milti wo hamare bare mein sochta nahin hoga raushni hawa jadu sab purane qisse hain han tumhaari aankhon se kuchh siwa nahin hoga main teri amanat hun tu meri amanat hai ye jo waqt hai 'sajid' ye sada nahin hoga