kunj-e-tanhai ke afkar mein kya rakkha hai

kunj-e-tanhai ke afkar mein kya rakkha hai
zikr-e-zulf-o-lab-o-rukhsar mein kya rakkha hai

ai gham-e-zist tera sath ghanimat hai mujhe
warna ab sirf gham-e-yar mein kya rakkha hai

pahle hi khul gaya inkar se mahfil ka bharam
aur ab aap ke iqrar mein kya rakkha hai

marhaba azm-e-jawan le ke nikalne walo
is jahan ke rasan-o-dar mein kya rakkha hai

apne jab ho na sake ghair ki hum samt chale
warna is kucha-e-aghyar mein kya rakkha hai

kal talak aap ke qabil tha yahi dil 'sabir'
han magar ek dil-e-bimar mein kya rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close