koi shikwa na shikayat na gila rakkha hai teri mahfil mein yahi pas-e-wafa rakkha hai na to dastar hai sar par na qaba jism pe hai shaikh ji aap ne kya haal bana rakkha hai ab to aa jaiye yan majma-e-rindan ke qarib sham hi se dar-e-mai-khana saja rakkha hai muntazir aap ke sab jam-ba-kaf baithe hain aap ke nam ka ek jam utha rakkha hai is kharabe se kharabi ka tasawwur hai gunah parsai ka bharam us ne siwa rakkha hai chakh bhi lije ki nikal jae zara hasrat-e-mai dil mein mana ki bahut khauf-e-khuda rakkha hai le chalega taraf-e-dasht-e-bala shauq-naward kya kahen durd-e-tah-e-jam mein kya rakkha hai