kunj-e-tanhai mein rakkha hua rah jata hai

kunj-e-tanhai mein rakkha hua rah jata hai
dil ki sine mein uchhalta hua rah jata hai

jumbish-e-chashm se duniya hi badal jati hai
aur meri aankh mein socha hua rah jata hai

ab to aisa hai ki aankhon ko agar khol bhi lun
dil kisi khwab mein lipta hua rah jata hai

likh to lete hain tera nam ba-sad shauq magar
kya kabhi ret pe likkha hua rah jata hai

kuchh chala jata hai dariyaon ke hamrah ye dil
kuchh rag-e-jaan mein hi bahta hua rah jata hai

us ki yaadon ko dil-o-jaan se rukhsat karna
kaam aisa hai ki hota hua rah jata hai

main to laut aata hun har sham ko ghar mein lekin
dil kisi rah pe chalta hua rah jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close