ruh ki mang hai wo jism ka saman nahin

ruh ki mang hai wo jism ka saman nahin
us ka milna mujhe mushkil na ho aasan nahin

koi dam aur hai bas khak hue jaane mein
khak bhi aisi ki jis ki koi pahchan nahin

thes kuchh aisi lagi hai ki bikharna hai use
dil mein dhadkan ki jagah dard hai aur jaan nahin

bojh hai ishq to phir kaise sambhaalen us ko
dur tak sath chalen is ka to imkan nahin

mukhtalif samt bahae liye jata hai hamein
waqt ke sath hamara koi paiman nahin

'fatima' dard ke rishte se kinara karna
be-hisi kah lo ise ye koi nirwan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close