kurra-e-arz ko tarik bana dena tha hijr ki shab mein sitaron ko bujha dena tha kitni dahshat hai mere shahr mein sannate ki nakhl-e-awaz yahan bhi to laga dena tha tu ki maujud agar misl-e-hawa sehn mein tha shajar-e-jamid-o-sakit ko hila dena tha pur-sukun kab se mere dil ka hai sahra-e-sukut aa ke is mein bhi kabhi hashr utha dena tha husn ke manzar-e-saffak nazar aate saf parda-e-khwab ko aankhon se hata dena tha rang kuchh subh-e-qayamat ka alag hi hota chehra-e-mehr se bhi rang uda dena tha