yaad aaen jo ayyam-e-bahaaran to kidhar jaen ye to koi chaara nahin sar phod ke mar jaen qadmon ke nishan hain na koi mil ka patthar is rah se ab jin ko guzarna hai guzar jaen rasmen hi badal di hain zamane ne dilon ki kis waza se us bazm mein ai dida-e-tar jaen jaan dene ke dawe hon ki paiman-e-wafa ho ji mein to ye aata hai ki ab hum bhi mukar jaen har mauj gale lag ke ye kahti hai thahar jao dariya ka ishaara hai ki hum par utar jaen shishe se bhi nazuk hain inhen chhu ke na dekho aisa na ho aankhon ke hasin khwab bikhar jaen tarik hue jate hain badhte hue sae 'akhtar' se kaho sham hui aap bhi ghar jaen