kuza-e-dard mein KHushiyon ke samundar rakh de

kuza-e-dard mein khushiyon ke samundar rakh de
apne honton ko mere zakhm ke upar rakh de

itni wahshat hai ki sine mein ulajhta hai ye dil
ai shab-e-gham tu mere sine pe patthar rakh de

sochta kya hai use bhi mere sine mein utar
tujh se ye ho nahin sakta hai to khanjar rakh de

phir koi mujh ko meri qaid se aazad kare
mere andar se mujhe khinch ke bahar rakh de

jal raha hai jo mere khana-e-jaan ke andar
is diye ko bhi koi taq-e-hawa par rakh de

ai saba de tu mere sokhta-jaanon ko khiraj
un ki turbat pe hi kuchh barg-e-gul-e-tar rakh de

murda ahraf bhi karte hain takallum 'shahid'
apna kuchh khun-e-jigar lafz ke andar rakh de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close