kuza-gar dekh agar chaak pe aana hai mujhe phir tere hath se har chaak silana hai mujhe bandh rakkhe hain mere panw mein ghungru kis ne apni sur-tal pe ab kis ne nachana hai mujhe raat-bhar dekhta aaya hun charaghon ka dhuan subh-e-ashur se ab aankh milana hai mujhe hath utthe na koi ab ke dua ki khatir ek diwar pas-e-dar banana hai mujhe sar bache ya na bache tere ziyan-khane mein apni dastar bahar-taur bachana hai mujhe chhod aaya hun dar-e-dil pe main aankhen apni ab zara jae jo kahta tha ki jaana hai mujhe