meri khak mein wila ka na koi sharar hota na hi dil se aag uthti na ye be-qarar hota mere sar pe hath rakhna jo tera shiar hota main na dar-ba-dar bhatakta kahin aar-par hota main rahin-e-qalb-e-muztar tu charagh-e-shadmani teri mahfil-e-tarab mein kahan dil-figar hota teri be-khudi ne ai dil kisi kaam ka na chhoda teri baat tal deta to na khud pe bar hota tere husn ki kahani meri chashm-e-tar se nikli main na ashk-bar hota to na aashkar hota agar is pe baith jata koi murgh-e-na-umidi mera nakhl-e-arzu phir kahan saya-dar hota