kuza-gar ke ghar ummiden aai hain mitti ke putle mein sansen aai hain ghabra kar bistar se uth baitha hun main nind mein phir khwabon ki lashen aai hain kis ne dastak di hai meri palkon par aankhon ki dahliz pe yaaden aai hain khwab mein us ko rote dekh liya tha bas man mein jaane kya kya baaten aai hain aankhen surkh dikhin to main ne puchh liya us ka wahi bahana aankhen aai hain ek takiye pe main aur meri tanhai aisi jaane kitni raaten aai hain rishton ka aaina kab ka tut chuka 'mit' ke hisse kewal kirchen aai hain