kya aa ke jahan mein kar gae hum ek dagh jigar pe dhar gae hum mehman-e-jahan the ek shab ke sham aae the aur sahar gae hum jun shama tamam umr roe har bazm se chashm-e-tar gae hum apni hi nazar nahin wagarna tu hi tha udhar jidhar gae hum nale mein asar to kyun na hota par tera lihaz kar gae hum hum jaante hain ki tu hai hum mein go dhundne dar-ba-dar gae hum jhagda tha jo dil pe us ko chhoda kuchh soch ke sulh kar gae hum is dasht ke khar-o-khas se bach kar jon baad-e-subuk guzar gae hum thin lutf se dil mein juraten kuchh par tere ghazab se dar gae hum hasrat hi se hum bane the goya aankh uthte hi uthte mar gae hum derina rafiq tha 'qalaq' hae wo kya hi mua ki mar gae hum