misal is ki kahan hai koi zamane mein ki sare khone ke gham pae hum ne pane mein wo shakl pighli to har shai mein dhal gai jaise ajib baat hui hai use bhulane mein jo muntazir na mila wo to hum hain sharminda ki hum ne der laga di palat ke aane mein latif tha wo takhayyul se khwab se nazuk ganwa diya use hum ne hi aazmane mein samajh liya tha kabhi ek sarab ko dariya par ek sukun tha hum ko fareb khane mein jhuka darakht hawa se to aandhiyon ne kaha ziyaada farq nahin jhukne tut jaane mein