kya aasman se rabt-e-yaqin mahw-e-khwab hai soi hui hai khak-e-zamin mahw-e-khwab hai hai nind mein itaat-o-irfan ka silsila sajdon ke sath sath jabin mahw-e-khwab hai soe hue to soe hain dekho magar yahan jo jagta hai wo bhi kahin mahw-e-khwab hai ye shahr gahri nind mein jata nahin kabhi har shakhs apne apne tain mahw-e-khwab hai ek ek sitara nind ki haibat mein hai sharik wo raat hai ki mah-e-mubin mahw-e-khwab hai aankhon se uth raha hai dhuan aur dhuen se dukh jalte hue makan mein makin mahw-e-khwab hai parkar chal rahi hai kahin gahri nind mein ai 'zeb' mera hashiya-bin mahw-e-khwab hai