na puchh meri kahani kahan se nikli hai ye dastan bhi teri dastan se nikli hai jigar ko chir liya shauq mein chatanon ne sada-e-ishq jab aab-e-rawan se nikli hai sabhi pe khauf musallat tha na-khudaon ka jo baat haq thi hamari zaban se nikli hai chhua hai tujh ko to mera sulag utha hai badan ye kaisi aanch tere jism-o-jaan se nikli hai falak ke sare nazare hue hain halqa-ba-gosh baraat kis ki dar-e-kahkashan se nikli hai