kya ada kiya naz hai kya aan hai yan pari ka husn bhi hairan hai hur bhi dekhe to ho jawe fida aaj is aalam ka wo insan hai us ke rang-e-sabz ki hai chin mein dhum kyun na ho aakhir ko hindostan hai jaan-o-dil hum nazr ko lae hain aaj lijiye ye dil hai aur ye jaan hai dil bhi hai dil se tasadduq aap par jaan bhi ji-jaan se qurban hai dil kahan pahlu mein jo hum den tumhein ye to ghar ek umr se viran hai aql o hosh o sabr sab jate rahe han magar ik-adh mui si jaan hai wo bhi gar leni hon to le jaiye khair ye bhi aap ka ehsan hai aan kar mil tu 'nazir' apne se jaan ab wo koi aan ka mehman hai