kya ajab marne pe bhi ishq ki khu sath rahe sukh bhi jae agar phul to bu sath rahe kanpte hathon se daman-e-taqaddus na chhute mai-kade jaun to ek zarf-e-wazu sath rahe a khayal-e-rukh-e-jaanan meri jaan tujh pe nisar donon aalam mujhe hasil hain jo tu sath rahe hum gada-e-dar-e-mai-khana ko hai kaam se kaam jam-o-saghar na sahi ek adu sath rahe kuchh to anjam-e-mohabbat ki khabar ho us ko mera madfan jo mitao to kadu sath rahe chhod jata hai koi apni zarurat ki chiz jaun masjid mein jo main jam-o-subu sath rahe ashk-e-khunin ka bhi tar na tute a dil zakhm-e-gham ke liye ek tar-e-rafu sath rahe qatra-e-ashk na khali rahe rangini se jab kabhi aankh se nikle to lahu sath rahe tujh pe khul jae tere dil ki haqiqat zahid ek dam bhi jo koi aaina-ru sath rahe tir-e-sayyaad na nikle tere dil se 'bedil' tod kar nikle bhi dil ko to lahu sath rahe