kya bachaun tujhe kya lutaun tujhe mukhtasar zindagi khud pe odhun ki niche bichhaun tujhe mukhtasar zindagi zarra zarra bikhar kar bhi aakhir tujhe khatm hona to hai kyun na yak-dam hawa mein udaun tujhe mukhtasar zindagi teri kheti pe mera guzara nahin bhuk mitti nahin ji mein aata hai main bech khaun tujhe mukhtasar zindagi khinchne ka jo wada kare sans ko wasl ke pul talak qissa-e-tul-e-hijran sunaun tujhe mukhtasar zindagi tujh se agli taraf maut ki wusat-e-be-karan maujzan tu hai diwar si chal giraun tujhe mukhtasar zindagi chaar din ki hai mehman mere pas tu mujh se rutha na kar naz tere uthaun manaun tujhe mukhtasar zindagi ain mumkin hai tu phail jae yunhi wusat-e-jism mein rog ki tarah dil se lagaun tujhe mukhtasar zindagi