qalb ka ehtijaj hota hai aur kya ikhtilaj hota hai sab natija hai apni karni ka ye jo duniya mein aaj hota hai ye bhi rangat badalti hai apni lash ka bhi mizaj hota hai mahw hote hain ishq mein jo log un se kab kaam-kaj hota hai bach ke chalta hai har koi us se shakhs jo bad-mizaj hota hai maslak-e-ishq mein to kasrat se zulm sahna riwaj hota hai ishq kya hai tumhein ye batla dun rog ye la-ilaj hota hai mere mahbub pairahan mein tere rangon ka imtizaj hota hai koi shoaba ho aaj-kal to 'shad' nazr-o-rishwat ka raj hota hai