kya bataun dil kahan hai aur kis ja dard hai main sarapa dil hun dil mera sarapa dard hai ye samajh len pahle aap ai hazrat-e-isa zara kis ke dil mein dard hai ye aur kis ka dard hai jo chala duniya se wo rakkhe hue sine pe hath main samajhta hun ki sab ke dil mein tera dard hai mere chup rahne se to ghafil hai o zahir-parast zarf bhi utna hi main rakhta hun jitna dard hai har tadap par qalib-e-murda mein aa jati hai ruh mujh mariz-e-na-tawan ki jaan goya dard hai bach gae to intiha-e-ishq mein lutf aaega aur abhi to ibtida mein intiha ka dard hai apna apna haal kah lene do 'natiq' sab ko tum jaanta hai wo ki kis ke dil mein kitna dard hai