kya bataun ki main chup-chup sa kya sunta hun apne andar se bikharne ki sada sunta hun sab ke so jaane pe aflak se kya kahta hai raat ko ek parinde ki sada sunta hun ek ajab sa hai sukut aur sada ka sangam mahwiyat mein kabhi ek aisi nawa sunta hun naz hai mujh ko ki aaghaz-e-tajassus hun main mujh se pahle bhi koi tha ye main kya sunta hun kabhi aati nahin apne kahin hone ki sada gah pedon ki bhi sanson ki sada sunta hun aa rahi hai mujhe phir jaise sada-e-atraf phir main jaise koi paigham naya sunta hun sham ko 'talkh' ye fitrat se sukhan karne mein kya kahun chup ki sada bolta ya sunta hun